tulu-e-subh-e-safar ki ghadi thi yaad aaya judai rasta roke khadi thi yaad aaya kisi ki khanda-labi se bhi khul nahin pai girah to ab ke dilon mein padi thi yaad aaya ye dil ke zakhm usi jang mein ata hue hain jo tere nam pe khud se ladi thi yaad aaya jo mera waqt mere hath aa nahin raha tha meri kalai pe teri ghadi thi yaad aaya gale mile the bichhadte samay jab aakhiri bar wo sham donon pe kitni kadi thi yaad aaya ragen badan ki yunhi to nahin khinchi hui thin koi salib si dil mein gadi thi yaad aaya hui hai sarf na jaane kahan kahan ai 'naim' durun-e-chashm nami to badi thi yaad aaya