aksar dayar-e-ishq se ho kar guzar gae hans kar guzar gae kabhi ro kar guzar gae khatki nigah-e-shauq mein gulshan ki khargi hum chaak-e-dil ko gham se piro kar guzar gae patwar tutne ka hua ranj is qadar hum naw tund-rau mein dubo kar guzar gae bakhshi hai ahd-e-lutf ne raaton ki tirgi din husn-e-eatibar mein so kar guzar gae manzil se kya pata ki nikal aae dur hum hosh-o-hawas rah mein kho kar guzar gae guzri jo un pe shaq tahi-damani meri aanchal ko aansuon mein bhigo kar guzar gae 'raazi' ko gham hai mere liye kuchh na kar sake ye bhi to kam nahin hai ki jo kar guzar gae