zakhm-e-tanhai mila ishq mein ruswai bhi phir bhi kuchh kam na hui ishq ki gahrai bhi aaj hans hans ke jo ghairon se mila karta hai tha wahi shakhs kabhi mera hi shaidai bhi jam aankhon ke wo honton ki gulabi kaliyan aur yaad aati hai us ki mujhe angdai bhi bad-guman jis se kiya karta hai aksar mujh ko hai usi chand ka wo shakhs tamannai bhi phir se dastak dar-e-dil par ye bhala kaun aaya nahin taswir to pahli abhi dhundlai bhi meri aadat hai ki har ek se mila karta hun yun zaruri to nahin sab se shanasai bhi jis se lagta tha bahut dar mujhe pahle 'arshad' ras aati hai mujhe ab wahi tanhai bhi