aksar ye haalat hoti hai ek ghadi muddat hoti hai hum kaise zinda hain ab tak hum ko bhi hairat hoti hai yar gila karte rahte hain yaron ki aadat hoti hai kaisi rasmen kaisi sharten chahat to chahat hoti hai dil auron ka ho jata hai dil ki ye fitrat hoti hai wasl ke lamhon ne samjhaya duniya bhi jannat hoti hai un aankhon ko yaad karo to dard mein kuchh barakat hoti hai