hai jaise roz diwali si duniya duniya walon ki

hai jaise roz diwali si duniya duniya walon ki
hamein bhi chaar din ki zindagi milti ujalon ki

juda gham hai juda khushiyan juda din hai juda raaten
ye duniya hi nirali hai mohabbat karne walon ki

zamana khubsurat hai zamane mein hasin lakhon
magar taswir to tum ho mere khwabon khayalon ki

kabhi tark-e-mohabbat tum karo socha na tha main ne
bhula di ek din hi mein mohabbat tum ne salon ki

zamane ke waraq par ab likhunga dastan-e-gham
zaban bhi aa gai mujh ko kitabon ki risalon ki

chhupa kar ek aaina rakha hai main ne bhi dil mein
kabhi taswir le lunga sabhi main husn walon ki

jawab is ka sahi dega koi to is ko kholunga
bana kar ek gathri main ne rakhi hai sawalon ki

safar mein zindagi ke hum ne ye dekha hai ai 'arpit'
zarurat pad hi jati hai kabhi sukhe niwalon ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close