alag alag tasiren in ki, ashkon ke jo dhaare hain ishq mein tapken to hain moti, nafrat mein angare hain tum se mil kar khil uthta tha, tum se chhut ke phika hun ai rangrez mere chehre ke sare rang tumhaare hain garmi ki lu mein tapne ke baad hi pani ka hai maza tujh ko jitna aasan tha, hum jaan ke tujh ko haare hain ai purwai meri khushbu us chaukhat ke dam se hai tu bhi guzar ke dekh jahan main ne kuchh lamhe guzare hain munh se batao ya na batao tum hum ko dil ki baaten jaan-e-man ye nain tumhaare, ye jasus hamare hain aisi baat milan mein kab hogi jaisi is pal mein hai sab ke bich mein main hun, wo hai or khamosh ishaare hain tere munh par teri hum ne kabhi na ki tarif zara likhne baithe to kaghaz par rakh diye chand sitare hain