aazar bahut lazzat-e-azar bahut hai dil dast-e-sitam-gar ka talabgar bahut hai iqrar ki manzil bhi zarur aaegi ek din is waqt to bas lazzat-e-inkar bahut hai yaran-e-safar koi dawa dhund ke lao insan mere daur ka bimar bahut hai han dekhiyo irfan-e-baghawat na jhulas jae manzar meri duniya ka sharar-bar bahut hai hum ghar ki panahon se jo nikle to ye jaana hangama pas-e-saya-e-diwar bahut hai qatil ki inayat ka maza aur hai warna jaan lene ko ye sans ki talwar bahut hai kya log hain ye soch ke baithe hun gharon mein bas zulm se be-zari ka izhaar bahut hai haalat-e-zamana se laraz jate hain 'ajmal' yun hai ki zamane se hamein pyar bahut hai