alag main sab se kahani bhi hai alag sab se so mujh ko khak udani bhi hai alag sab se badan se ruh nikal kar sama gai tujh mein meri ye naql-e-makani bhi hai alag sab se samundaron mein nahin dasht ki taraf utra ye meri aankhon ka pani bhi hai alag sab se mila hai dard-e-mohabbat bhi ek zamane ke baad mujhe khushi ye manani bhi hai alag sab se zara sa khwab ko toda kharash dal gaya ki aankh mein wo nishani bhi hai alag sab se