jhulasti dhup mein mujh ko jala ke marega wo mera apna hai chhanw mein la ke marega wo chahta to meri khak hi uda deta ye kuza-gar ki inayat bana ke marega use khabar hai ladai mein haar sakta hai so apna aap wo mujh mein sama ke marega is ek khauf se main jang mein shahid hua adu kamina hai tane khuda ke marega main us ke jal mein aaunga dekhna 'qaisar' wo mujh ko dhoke se ghar mein bula ke marega