alam aah-o-fughan aansu gile bechaargi le kar

alam aah-o-fughan aansu gile bechaargi le kar
tumhaare pas aaya hun main apni zindagi le kar

chaman se ek kanta aur ek nazuk kali le kar
taqabul kar raha hun zindagi se zindagi le kar

nahin chhupte hon dhabbe jis se meri be-gunahi ke
mujhe hajat nahin kya hoga aisi raushni le kar

tere aariz se ye zulf-e-siyah jab bhi sarakti hai
gagan ka chand chhup jata hai apni raushni le kar

tere rukhsar ke til par mujhe aksar khayal aaya
kanwal par jaise bhanwra ruk gaya ho zindagi le kar

mahal tamir ye jo kar raha hai khun se apne
yahi footpath par dam tod dega bebasi le kar

barae-nam 'anwar' hun karam ahbab ka warna
azal hi se muqaddar mein chala hun tirgi le kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close