apne ghar se wo mere ghar aa gaya

apne ghar se wo mere ghar aa gaya
chand aakhir had ke bahar aa gaya

khat pahunch sakta hai ab ummid hai
us ka patthar meri chhat par aa gaya

wo khafa to hai magar zyaada nahin
de ke khat zinda kabutar aa gaya

raat mujh ko khwab par hairat hui
hath phailae samundar aa gaya

tu bhi qasid aaj-kal pagal hai kuchh
kis ka khat tha kis ko de kar aa gaya

jagte guzri na ho us ki bhi raat
main khuda-hafiz to kah kar aa gaya

band mutthi apni 'anwar' khul gai
samne jab bhi sikandar aa gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close