alam-ba-dast kahin aaina-ba-kaf hun main tere khilaf har ek samt saf-ba-saf hun main mujhe talash na kar tu ki ek zamana hua kitab-e-ishq ke har bab se hazaf hun main hazar bhes badalta rahun magar is par kisi chamakti hui aankh ka hadaf hun main badalta rahta hun har lamha apne khad-o-khal kahin guhar kahin dariya kahin sadaf hun main data hua hun abhi tak mahaz par 'shahzad' agarche haare hue shah ki taraf hun main