jahan jahan bhi hawas ka ye jaanwar jae

jahan jahan bhi hawas ka ye jaanwar jae
dilon se mehr-o-mohabbat ki fasl char jae

khule hain unchi haweli ke paltu kutte
faqir-e-rah zara dekh-bhaal kar jae

wahin se hun main jahan se dikhai deta hun
wahin tilak hun jahan tak meri nazar jae

hai koi der se us par muntazir mera
ruka hua hun ki naddi zara utar jae

wo baad-e-tund hai har ped ki ye koshish hai
hawa ke sath koi dusra shajar jae

hudud-e-zat se aage khudaon ki had hai
mein sochta hun agar zehn kaam kar jae

bhari padi hai ufunat se inch inch zamin
is ek phul ki khushbu kidhar kidhar jae

abhi talak tere raste mein pul-siraat pe hai
guzarne wala zaruri nahin guzar jae

'nasim' ganw ki masjid mein raat katega
ek ajnabi sa musafir hai kis ke ghar jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close