alam ka apne izala na kar saka wo bhi mere baghair guzara na kar saka wo bhi bana saka na kahin aur main sanam-khana kisi ka sath gawara na kar saka wo bhi main apne taur tariqon se khub waqif hun bura tha main jise achchha na kar saka wo bhi tamam raat raha jism us ke ima par kuchh aur is se ziyaada na kar saka wo bhi kabhi jo ek parinda idhar bhi aaya tha gurez-pa tha basera na kar saka wo bhi ye manta hun bahut mehrban tha hum par hamare gham ka mudawa na kar saka wo bhi wo ek charagh 'sharafat' jo kab se raushan hai andhere ghar mein ujala na kar saka wo bhi