be-khudi ke ajab hisar mein hai shahr-e-dil kis ke intizar mein hai phir wo aaega aur manaega dil abhi tak is eatibar mein hai aa tujhe kuchh tasalliyan de dun aur kya mere ikhtiyar mein hai kya khizan ka gila kare koi dil kharaba bhari bahaar mein hai shab guzarti thi aah-o-zari mein be-kali ab kahan wo pyar mein hai zindagi dhundhti hai ja-e-panah aadmi ab bhi ek fishaar mein hai go 'sharafat' tawil ho tahrir husn-e-tahrir ikhtisar mein hai