alam maal agar hai to phir khushi kya hai koi saza hai gunahon ki zindagi kya hai hamein wo yun bhi bil-akhir mitaenge yun bhi sitam ke baad karam bhi to hai abhi kya hai nizam-e-bazm-e-do-alam hai intishaar-agin nigah-e-dost mein aasar-e-barhami kya hai kisi maqam pe bhi mutmain nahin nazren ziyan hai zauq-e-tajassus ka aagahi kya hai namaz-e-ishq jo shamil nahin ibaadat mein fareb-e-kufr sarasar hai bandagi kya hai badal gai na agar baghban ki niyyat hi chaman ka rang badalne mein der hi kya hai guzar gai hai shab-e-gham yaqin nahin aata sahar numud nahin hai to raushni kya hai mata-e-husn-e-do-alam se bhi siwa kahiye qamar-jamal hai taswir aap ki kya hai jo sehr-e-husn ki tasir ka nahin qail teri nazar se wo puchhe ki sahiri kya hai kisi ka husn kahan apna zauq-e-did kahan kisi ke jalwon se nazron ki hamsari kya hai qadam qadam pe diya hai fareb rahbar ne jo rahbari use kahiye to rahzani kya hai hamare dil pe uchatti nazar hi dal kahin tujhe khabar to chale soz-e-ashiqi kya hai hamin ne dil mein jagah di hamein pe mashq-e-sitam ye dosti hai to ai dost dushmani kya hai bahaar aai hai ab aap bhi chale aaen bahaar ko bhi khabar ho shaguftagi kya hai wafa ka nam bada ho to ho 'rishi' warna jafa-e-dost mein bhi lutf ki kami kya hai