yunhi aksar mujhe samjha bujha kar laut jati hai kisi ki yaad mere pas aa kar laut jati hai main bad-qismat wo gulshan hun khizan jis ka muqaddar hai bahaar aati hai darwaze se aa kar laut jati hai use apna banane mein bhi ek anjaan sa dar hai dua honton talak aati hai aa kar laut jati hai main apni qaid ko hi apni aazadi samajh lunga rihai mujh ko zanjiren laga kar laut jati hai agar itni hi sarkash hai to mujh pe kyun nahin girti wahi bijli jo mera ghar jala kar laut jati hai wahan par bhi charagh-e-arzu hum ne jalae hain jahan se raushni bhi sar jhuka kar laut jati hai use main dekh to leta hun lekin chhu nahin pata koi shai hai jo mere pas aa kar laut jati hai