alamat hai ye kaisi is taghayyur ka sabab kya hai hare patton pe harf-e-zard kyon mausam ne likkha hai khutut-e-agahi pe jam ke mahka hai lahu mera salib-e-fikr pe latka hua jab mujh ko dekha hai kahin dekhe na jaenge jahan mein hum se diwane fareb-e-arzu hum ne har ek manzil pe khaya hai sadaqat ki sadaen dar se takra ke palat aain makin shayad abhi tak dhup ki chadar mein lipta hai khizan aai to jaane surat-e-haalat kya hogi abhi tak to nigar-e-gul ka chehra khub nikhra hai nizam-e-asman bhi ek sa mausam nahin rakhta kabhi tare chamakte hain kabhi suraj nikalta hai rawan hai kaun si manzil ko ye athkheliyan karti nadi ko kya khabar mera samundar kitna pyasa hai