meri har baat ki nafi na karo

meri har baat ki nafi na karo
ikhtiyar aisi be-rukhi na karo

silsile chhod do raqabat ke
dosti kar ke dushmani na karo

aa chuke hain andhere ras hamein
ab andheron mein raushni na karo

zindagi khud hi fikrmand si hai
raat din fikr-e-zindagi na karo

tum musalsal rakho use dil mein
yaad us ko kabhi kabhi na karo

us ke jaane ke baad kar lena
baat hum se magar abhi na karo

tum abhi apne aap ko 'sagar'
us ke ilzam se bari na karo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close