alawa ek chubhan ke kya hai khud se rabta mera bikhar jata hai mujh mein tut ke har aaina mera ulajh ke mujh mein apne-ap ko suljha raha hai jo na jaane khatm kar baithe kahan par silsila mera mujhe chakhte hi kho baitha wo jannat apne khwabon ki bahut milta hua tha zindagi se zaiqa mera main kal aur aaj mein hael koi nadida waqfa hun mere khwabon se napa ja raha hai fasla mera wo kaisa shahr tha manus bhi tha ajnabi bhi tha ki jis ki ek gali mein kho gaya mujh se pata mera palat aata hai har din ghar ki jaanib sham dhalte hi kisi be-nam basti se guzar ke rasta mera ye main hun ya mera saya mera saya hai ya main hun ajab si dhund mein lipta hua hai hafiza mera hansi aai thi apni bebasi par ek din mujh ko abhi tak gunjta hai mere andar qahqaha mera