apni biti hui rangin jawani dega mujh ko taswir bhi dega to purani dega chhod jaega mere jism mein bikhra ke mujhe waqt-e-rukhsat bhi wo ek sham suhani dega umr bhar main koi jadu ki chhadi dhundungi meri har raat ko pariyon ki kahani dega ham-safar mil ka patthar nazar aaega koi fasla phir mujhe us shakhs ka sani dega mere mathe ki lakiron mein izafa kar ke wo bhi mazi ki tarah apni nishani dega main ne ye soch ke boe nahin khwabon ke darakht kaun jangal mein lage ped ko pani dega