alawa jalwa-e-mani ke kul jahan dekha

alawa jalwa-e-mani ke kul jahan dekha
jo chiz dekhne ki thi use kahan dekha

chhupae rakha hamesha nigah-e-gulchin se
na dekhne ki tarah su-e-ashiyan dekha

ye yaad hai ki mulaqat to hui thi kahin
magar ye yaad nahin hai tumhein kahan dekha

qafas mein nind bhi kaise fareb deti hai
khuli jo aankh to gulshan na aashiyan dekha

zamin ke zulm bhi bardasht hum ne hans ke kiye
tera bhi dabdaba ai jaur-e-asman dekha

hazaron zakhm the insaniyat ki mayyat par
tamam daman-e-fitrat ko khun-chakan dekha

jo log hifz zaban ki zaban dete the
to 'qaisar' un ko hi ghaarat-gar-e-zaban dekha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close