jab ho gaya kamal to cigarette jala liya

jab ho gaya kamal to cigarette jala liya
ya phir hua malal to cigarette jala liya

khud par kisi ko hansne ka mauqa nahin diya
puchha kisi ne haal to cigarette jala liya

sukhe gale se lafz ko lana tha zehn tak
jab aa gaya khayal to cigarette jala liya

ghusse mein khun ke ghunt to pita raha magar
aankhen huin jo lal to cigarette jala liya

achchhi nahin hai shai magar 'ahya' main kya karun
karna hai shukr-e-haal to cigarette jala liya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close