alfaz na de paen agar sath bayan ka aankhon se bhi le lete hain wo kaam zaban ka qatil ki jabin par hain pasine ki lakiren shayad ki asar hai ye meri aah-o-fughan ka aangan hai na dewdhi na chameli ka wo mandwa shahron ne badal dala hai mafhum makan ka aae ho to kuchh der thahar jao yahan bhi hum bhi to maza len zara rangin saman ka ye soch ke wade pe yaqin hum ne kiya hai kuchh pas to rakkhoge meri jaan zaban ka is tarz-e-takhatub se 'atiq' un ko laga hai jaise ki kabhi tha hi nahin main to yahan ka