sisakte phulon ka koi bhi dard-mand nahin mahak se pyar hai masumiyat pasand nahin chalo to hum bhi samundar koi talash karen suna hai ret ki diwar kuchh buland nahin lahakti shakh lahu mein na kyun naha utthe saba ke pas sajawat ki wo kamand nahin jo sun sako to mujhe dhadkanon ki lai pe suno main ek saz hun aawaz ka samand nahin pawan ki khoj mein parbat ko chumti kirno palat bhi aao ki patton ke hont band nahin