alfaz narm ho gae lahje badal gae lagta hai zalimon ke irade badal gae ye faeda zarur hua ehtijaj se jo dho rahe the hum ko wo kandhe badal gae ab khushbuon ke nam pate dhundte phiro mahfil mein ladkiyon ke dupatte badal gae ye sarkashi kahan hai hamare khamir mein lagta hai aspatal mein bachche badal gae kuchh log hain jo jhel rahe hain musibaten kuchh log hain jo waqt se pahle badal gae mujh ko meri pasand ka same to mil gaya lekin ghazal ke sare hawale badal gae