ek hawa utthegi sare baal-o-par le jaegi ye nai rut ab ke sab kuchh lut kar le jaegi ek khadsha pahle darwaze se apne sath hai raston ki dilkashi khu-e-safar le jaegi ek chaurahe pe la kar chhup gaya hai aaftab koi aawara karan ab dar-ba-dar le jaegi ek tawaqqo le ke takraya hun har rahraw ke sath koi jhunjhlai hui thokar to ghar le jaegi dil ke kale ghaar mein sanson ke patthar jab gire ek saat ki chamak sadiyon ke dar le jaegi fikr ko 'sajjad' pahnae pasandida libas ye nahin socha ki wo gahra asar le jaegi