allah agar taufiq na de insan ke bas ka kaam nahin faizan-e-mohabbat aam sahi irfan-e-mohabbat aam nahin ye tu ne kaha kya ai nadan fayyazi-e-qudrat aam nahin tu fikr o nazar to paida kar kya chiz hai jo inam nahin ya-rab ye maqam-e-ishq hai kya go dida-o-dil nakaam nahin taskin hai aur taskin nahin aaram hai aur aaram nahin kyun mast-e-sharab-e-aish-o-tarab taklif-e-tawajjoh farmaen aawaz-e-shikast-e-dil hi to hai aawaz-e-shikast-e-jam nahin aana hai jo bazm-e-jaanan mein pindar-e-khudi ko tod ke aa ai hosh-o-khirad ke diwane yan hosh-o-khirad ka kaam nahin zahid ne kuchh is andaz se pi saqi ki nigahen padne lagin mai-kash yahi ab tak samjhe the shaista daur-e-jam nahin ishq aur gawara khud kar le be-shart shikast-e-fash apni dil ki bhi kuchh un ke sazish hai tanha ye nazar ka kaam nahin sab jis ko asiri kahte hain wo to hai amiri hi lekin wo kaun si aazadi hai yahan jo aap khud apna dam nahin
This is a great amiri garibi shayari. Please share if you liked this!!!