allah re is gulshan-e-ijad ka aalam

allah re is gulshan-e-ijad ka aalam
jo said ka aalam wahi sayyaad ka aalam

uf rang-e-rukh-e-bani-e-bedad ka aalam
jaise kisi mazlum ki fariyaad ka aalam

pahron se dhadakne ki bhi aati nahin aawaz
kya jaaniye kya hai dil-e-nashad ka aalam

mansur to sar de ke subuk ho gaya lekin
jallad se puchhe koi jallad ka aalam

main aur tere hijr-e-musalsal ki shikayat
tera hi to aalam hai teri yaad ka aalam

kya jaaniye kya hai meri meraj-e-maqami
aalam to hai sirf ek meri uftad ka aalam

arbab-e-chaman se nahin puchho ye chaman se
kahte hain kise nikhat-e-barbaad ka aalam

kyun aatish-e-gul mere nasheman ko jalae
tinkon mein hai khud barq-e-chaman-zad ka aalam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close