allah allah KHun-e-ghariban

allah allah khun-e-ghariban
har taraf ho raha hai charaghan

hashr-bar-dosh mahshar-ba-daman
aane wala hai phir koi tufan

waqt har zakhm-e-dil ki dawa hai
kaun le ahl-e-duniya ka ehsan

zindagi ki haqiqat hi kya hai
zindagi ek khwab-e-pareshan

kaun hai jo kare pursish-e-gham
wo gurezan to duniya gurezan

ek tabassum bhi bas mein nahin hai
kitna majbur hai aaj insan

kya bujhegi khizan ke lahu se
tez hai tishnagi-e-bahaaran

chain dil ko kahin bhi nahin hai
ek hai aashiyan ho ki zindan

log rahon mein dam todte hain
maut pahle na thi itni arzan

kuchh na bigdega urdu zaban ka
kyon 'khalish' ho rahe ho harasan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close