is daur-e-gham mein shoKH tabiat kahan se laen

is daur-e-gham mein shokh tabiat kahan se laen
har waqt muskurane ki aadat kahan se laen

rahat ho jis mein aisi aziyyat kahan se laen
dozakh mein rah ke ishrat-e-jannat kahan se laen

un ke baghair gham ki masarrat kahan se laen
ek nur mein dhali hui zulmat kahan se laen

un ki mohabbat un ki inayat kahan se laen
ai zindagi tere liye jannat kahan se laen

wo aaenge zarur hamein bhi yaqin hai
lekin ab intizar ki taqat kahan se laen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close