allah re ye rang ye jalwa shabab ka jaise khincha ho aankh mein naqsha sharab ka parde mein kaenat ke maujud har jagah is par ye ehtimam ye aalam hijab ka lalcha ke fart-e-shauq mein aansu nikal pade waiz ne hans ke nam liya jab sharab ka tab-e-nazara-e-rukh-e-anwar nahin use suraj ki samt rukh hai gul-e-aftab ka badhti rahi nigah bahakte rahe qadam guzra hai is tarah bhi zamana shabab ka har ashk waqiat-e-hasin ki hai yaadgar aalam na puchhiye meri chashm-e-pur-ab ka ai 'aish' jab se baada-e-la-taqnatu mila baqi raha na dar hamein roz-e-hisab ka