mauj-e-hawa-e-shauq use paemal kar rakkhenge khak-e-dil ko kahan tak sanbhaal kar afsurda-dil na ho ye safar ki takan hai do-chaar ghunt pi ke tabiat bahaal kar ye abr ye bahaar ye tufan-e-rang-o-bu ai dost meri tishna-labi ka khayal kar ye manzil-e-shabab hai pur-pech-o-pur-khatar ai paikar-e-jamal zara dekh-bhaal kar har ahl-e-dil ki meri taraf uth gai nazar guzre wo yun qarib se daman sanbhaal kar ai 'shauq' main ne nazm-o-ghazal jab kabhi kahi kaghaz pe rakh diya hai kaleja nikal kar