allah ye kis ka matam hai wo zulf jo bikhri jati hai

allah ye kis ka matam hai wo zulf jo bikhri jati hai
aankhen hai ki bhigi jati hain duniya hai ki dubi jati hai

kuchh bite dinon ki yaaden hain aur chaaron taraf tanhai si
mehman hain ki aae jate hain mahfil hai ki ujdi jati hai

tadbir ke hathon kuchh na hua taqdir ki mushkil hal na hui
nakhun hain ki tute jate hain gutthi hai ki uljhi jati hai

kya koi mohabbat mein yun bhi benam-o-nishan ho jata hai
main hun ki abhi tak zinda hun duniya hai ki bhuli jati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close