hae jaanana ki mehman-dariyan aur mujh dil ki badan aazariyan dha gain dil ko teri dahliz par teri qattala surini bhaariyan uf shikan-ha-e-shikam jaanam teri kya kataren hain kataren kariyan hae teri chhatiyon ka tan-tanaw phir teri majburiyan nachaariyan tishna-lab hai kab se dil sa shir-khwar tere dudhon se hain chashme jariyan dukh ghurur-e-hashr ke jaana hai kaun kis ne samjhi hashr ki dushwariyan apne darban ko sambhaale rakhiye hain hawas ki apni izzat-dariyan hain sidhaari kaun se shahron taraf ladkiyan wo dil gali ki sariyan khwab jo tabir ke bas ke na the doston ne un pe jaanen wariyan khalwat-e-mizrab-e-saz-o-naz mein chahiye hum ko teri siskariyan lafz-o-maani ka baham kyun hai sukhan kis zamane mein thin in mein yariyan shauq ka ek daw be-shauqi bhi hai hum hain us ke husn ke inkariyan mujh se bad-tauri na kar o shahr-e-yar mere juton ke hai talwe khariyan kha gain us zalim-o-mazlum ko meri mazlumi-numa ayyariyan ye harami hain gharibon ke raqib hain mulazim sab ke sab sakariyan wo jo hain jite unhonne be-tarah jitne par himmaten hain haariyan tum se jo kuchh bhi na kah paen miyan aakhirash karti wo kya be-chaariyan