amir-e-shahr is ek baat se khafa hai bahut ki shahar bhar mein sag-e-dard chikhta hai bahut har ek zakhm se zakhmon ki konplen phutin jo bagh tum ne lagaya tha ab hara hai bahut zara si narm-rawi se pahunch gae dil tak tanaw tha to samajhte the fasla hai bahut jo dam ghute to shikayat na kijiye sahab ki sans lene ko zahron bhari hawa hai bahut charagh lakhon hon raushan nazar nahin aate yahan to chehra-paraston ko ek diya hai bahut ye tai hai mujh se kabhi tark haq nahin hoga ki meri khak mein ye kimiya mila hai bahut mumasalat ke hawalon mein mat talash karo umumiyat se hamari ghazal juda hai bahut