ba-zahir yun to main simta hua hun agar socho to phir bikhra hua hun mujhe dekho tasawwur ki nazar se tumhaari zat mein utra hua hun suna de phir koi jhuti kahani main pichhli raat ka jaga hua hun kabhi bahta hua dariya kabhi main sulagti ret ka sahra hua hun jab apni umr ke logon mein baithun ye lagta hai ki main budha hua hun kahan le jaegi 'tabish' na jaane hawa ke dosh par thahra hua hun