amir-e-shahr ki chaukhat pe ja ke laut aaya gharib-e-waqt angutha dikha ke laut aaya laga raha tha main badh chadh ke boliyan lekin kharida kuchh nahin qimat badha ke laut aaya kasar rahi-sahi kar dengi aandhiyan puri main us darakht ko jad se hila ke laut aaya main chand chhune ki khwahish mein ghar se nikla tha aur apni palkon pe tare saja ke laut aaya bujha diya tha jise sar-phiri hawaon ne main us charagh ko phir se jala ke laut aaya wo ibtida-e-safar mein hi khul gaya mujh par main us ke sath zara dur ja ke laut aaya 'kamal' us ne mere dil ka haal puchha tha main us ko 'mir' ki ghazlen suna ke laut aaya