achchhi guzar rahi hai dil-e-khud-kafil se langar se roti lete hain pani sabil se duniya ka koi dagh mere dil ko kya lage manga na ek diram bhi kabhi is bakhil se kya boriya-nashin ko hawas taj o takht ki kya khak-ashna ko gharaz asp o fil se dil ki taraf se hum kabhi ghafil nahin rahe karte hain pasbani-e-shahr us fasil se gahwara-e-safar mein khuli hai hamari aankh tamir apne ghar ki hui sang-e-mil se ek shakhs baadshah to ek shakhs hai wazir goya nahin hain donon hamari qabil se duniya mere pados mein aabaad hai magar meri dua-salam nahin us zalil se 'jawed' ek gham ke siwa dil mein hai bhi kya hum ghar chala rahe hain mata-e-qalil se