amir-e-shahr tujhe kab dhiyan mera hai nai sadak pe purana makan mera hai zamin ke chand-numaon ki haisiyat kya hai ki chand hai jo sar-e-asman mera hai ab intizar hai kis ka uchhaaliye sikka yaqin aap ka hai aur guman mera hai teri kitab-e-badan ka main pahla qari hun jahan jahan bhi laga hai nishan mera hai main apne nam se pahchana jata hun 'hashim' koi qabila hai na khandan mera hai