zindagi ki jo saat jis ke hath aai hai khub soch kar barte chiz to parai hai main ne mard-e-haq ban kar jab nazar uthai hai mera samna karte maut hichkichai hai khalwat-e-tamanna hai gham raqib ka kyon ho aap ye to farma den kyon nazar churai hai eqtidar ke bande jab hue hain matwale inqalab ki turshi waqt ne chakhai hai muzhda-e-mariz-e-gham waqt-e-muddaa aaya raushni sitaron ki dekh jhilmilai hai aap hon khafa mujh se ya main aap se nadim wo bhi jag-hansai hai ye bhi jag-hansai hai hai qarib ajal 'hasrat' ab to hosh mein aaen zindagi to ghaflat se aap ne ganwai hai