amn-o-sulh-o-ashti ho jaise bimari ka nam hai siyasat ahd-e-nau mein ek ayyari ka nam in ka zahir aur baatin dekh kar aisa laga parsai jaise ho shayad riya-kari ka nam jo zamana saz hain, hain sab ke manzur-e-nazar hai taghazzul mein tarannum aaj fankari ka nam gardish-e-haalat se hai band jin ka natiqa wo zaban-e-haal se lete hain bekari ka nam hai girani ka wo aalam al-aman o al-hafiz darte hain lete hue ab sab kharidari ka nam shokhi-e-guftar mein kah jate hain wo kuchh se kuchh dosti in ki nazar mein hai dil-azari ka nam pur-masarrat zindagi hai aaj kal khwab-o-khayal hai zaban par in dinon sab ki aza-dari ka nam kya kushud-e-kar ki 'barqi' koi surat nahin sab ke hai wird-e-zaban ab sirf dushwari ka nam