dil gaya sanson ka ab gham kya karen tum batao jaan ki ab hum kya karen phul hai is ko to murjhana hi hai marte marte khushbuen kam kya karen dekh kar ye zulf baadal tu bata gar na barsen ye jhama-jham kya karen hikmaten kar thak chuke sab hi yahan ishq se haare wo hamdam kya karen khamushi mein hi bhalai hai miyan sar-phiron ko aur barham kya karen faisle ki nok par hai zindagi ye ghadi marne ki ab dam kya karen dekhiye kaisi madad bakhshi hamein kah rahe ji hum nahin hum kya karen