an-ginat azab hain ratjagon ke darmiyan dard be-hisab hain ratjagon ke darmiyan ban chuka hai dil sawal ab kisi ke hijr mein is pe la-jawab hain ratjagon ke darmiyan ashk rok rok ab shal hue hain hausle har samay itab hain ratjagon ke darmiyan kash wo mile kahin to bataun main use kis qadar sarab hain ratjagon ke darmiyan sau charagh jal bujhe tirgi na kam hui mustaqil hijab hain ratjagon ke darmiyan kya bataun haal main us ko apne dard ka wahshaton ke bab hain ratjagon ke darmiyan wo jinhen khabar nahin qalb-e-na-subur ki chaar-su janab hain ratjagon ke darmiyan ek gham chala gaya dusre ne aa liya silsile shitab hain ratjagon ke darmiyan rakh-rakhaw mein sada rah ke aaj tak yahan haalaten kharab hain ratjagon ke darmiyan zindagi ki daud mein pichhli rut ke khwab sab ab bhi ham-rikab hain ratjagon ke darmiyan aaj ye khula 'safi' jaan ke aur gham kai shamil-e-nisab hain ratjagon ke darmiyan