baham jo husn o ishq mein yarana ho gaya koi pari bana koi diwana ho gaya itni si baat par ki hui shama be-hijab tayyar jaan dene ko parwana ho gaya tang aa gaya hun wusat-e-mafhum-e-ishq se nikla jo harf munh se wo afsana ho gaya har dil mein yaad ban ke chhupe hain butan-e-ishq allah tera ghar bhi sanam-khana ho gaya farigh takallufat se hain rind-e-be-riya chullu hi un ke waste paimana ho gaya tafsil apne jaur-o-sitam ki na puchhiye kya kya na aap ne kiya kya kya na ho gaya dekhi hai jab se aankh kisi ki phiri hui aalam meri nigah mein begana ho gaya khush hun ki ho raha hai ye irshad le ke dil 'ahsan' qubul tera ye nazrana ho gaya