an-kahe lafzon mein matlab dhundhta rahta hun main kya kaha tha us ne aur kya sochta rahta hun main yun hi shayad mil sake hone na hone ka suragh ab musalsal khud ke andar jhankta rahta hun main maut ke kale samundar mein ubharte dubte barf ke tode ki surat dolta rahta hun main in fazaon mein umadti phailti khushbu hai wo in khalaon mein rawan, ban kar hawa rahta hun main jism ki do gaz zamin mein dafn kar deta hai wo kaenati had ki surat phailta rahta hun main doston se sard-mehri bhi mere bas mein nahin aur murawwat ki tapish mein khaulta rahta hun main ek dhamake se na phat jae kahin mera wajud apna lawa aap bahar phenkta rahta hun main chain tha 'khalid' to ghar ki chaar-diwari mein tha resturanon mein abas kya dhundhta rahta hun main