ab kya bataun dard kahan tha kahan na tha

ab kya bataun dard kahan tha kahan na tha
puchhi wo baat yar ne jis ka guman na tha

is se ziyaada hasil-e-umr-e-rawan na tha
tera nishan jo paya to apna nishan na tha

duniya ho ya hujum-e-qayamat ho ya ki hashr
tere kharab-e-ishq ka charcha kahan na tha

dekhi qafas se ja ke chaman mein jafa-e-charkh
sab ke to aashiyan the mera aashiyan na tha

aata nazar tha dur se nazdik karwan
nazdik hum hue to kahin karwan na tha

aaya nazar na phir bhi jahan mein kisi ko tu
har chand tere jalwe se khali jahan na tha

kaisi bahaar kis ka chaman fasl-e-gul thi kya
duniya nazar mein hech thi jab aashiyan na tha

be-parda is tarah kabhi hasil tha lutf-e-did
hasti ka bhi hijab mere darmiyan na tha

bijli pe ki nazar to falak par thi ja chuki
dekha jo aashiyan ki taraf aashiyan na tha

har zarra-e-jahan pe tha aabaad ek jahan
hasti ka koi zarra bhi to raegan na tha

'afqar' maal-e-hasti-e-fani tha bas yahi
kal tak tha nam aaj lahad ka nishan na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close