ana ka naz labaada utar kar dekho kisi ke waste ye jang haar kar dekho zarur hoga koi aas-pas shama-ba-dast andheri raat sahi tum pukar kar dekho adu ka sath nibha kar to tum ne dekh liya hamare sath bhi kuchh din guzar kar dekho hamara chand bhi kuchh kam nahin tum apna chand bulandiyon se zamin par utar kar dekho agarche aata nahin wo kisi ke kahne mein tum apne dhang se koshish to yar kar dekho