baghair soche hue arz haal karte rahe

baghair soche hue arz haal karte rahe
jawab kuchh na mila hum sawal karte rahe

kabhi to dube nadi mein magar kabhi hum ne
samundaron ko uchhaala kamal karte rahe

isi se nam mila hai isi se izzat bhi
jo kaam sahal bahut the muhaal karte rahe

khade rahe yun hi aankhon mein ashk jari kiye
har ek lamha-e-shab la-zawal karte rahe

kabhi kisi ki mohabbat ka dam bhi bhar aae
ye ek kaam bhi hum khal-khal karte rahe

to un ko hum se tha bas ek ye talluq khas
meri qaba se lahu apna lal karte rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close