ana ne tut ke kuchh faisla kiya hi nahin bayan apna kabhi muddaa kiya hi nahin har ek shakhs ko insan hi rakha hum ne ki aadmi ko nazar mein khuda kiya hi nahin bas ek bar hi toda jahan ne ahd-e-wafa kisi se hum ne phir ahd-e-wafa kiya hi nahin kai dishaon se guzra hai karwan-e-hayat thahar ke dil ko kahin mubtala kiya hi nahin pahad zulm-o-sitam ke hansi mein kat diye ada-e-naz ki koi gila kiya hi nahin chhua jise bhi wahi lafz ban gaya tarikh ki be-asar koi jumla ada kiya hi nahin tamam umr sanwara ghazal ki duniya ko ki 'ashk' hum ne kuchh is ke siwa kiya hi nahin